Monday, 28 January 2013

Dars-e-Quran


Source (Google.com.pk)
Dars-e-Quran Islamic SMS

+DÄRS-E-QURÄN+
@01
Ye To Ap Jante Hen Ke
Elm-e-Gaib ALLAH Ki Sifat He.

Q.
Agr Koi Qur'an Ki Roo Se RasooLon Ke Lye Bhi ELm e Gaib Ko Maane To Kya Ye Shirk Hoga

A.Ji Nahi,
AL-QURAN
Gaib Ka Jan'ne WaLa Apne Gaib Par Sirf Apne Pasandida RasooLon Hi Ko Aagah Frmata He, Har Kisi Ko ELM Nhe Deta
(Sura e Jinn Ayat #26-27)

Bus Samajhne Ki Baat Ye He Ke ALLAH Ka Aalimul Gaib Hona Zaati Aur MustaQil He,
Jabke RasooLon Ko ALLAH ki Ataa se Haasil He.

+DÄRS-E-QURÄN+
@02
BeShak ALLAH Madadgaar He Musalmano Ka.

Q.Agar Hum GhairULLAH Ko Bhi Madadgaar Kahen To Kya Ye Shirk Hua

A.
Nahi
AL-QURAN
BeShak ALLAH Inka Madadgaar Aur JibreeL Aur Naik Mominin Bi
(Al-Tahreem Ayt#4)

Agar GhairULLAH Ki Madad Ka Yaqin Rakhna Shirk Hota
To Ye Aayt Kyun NaziL Hui

+DÄRS-E-QURÄN+
@03
Shifa Dena Or Murdey Zinda Karna To ALLAH ki Sifaat Hen,
LeKin

Dusri Taraf to ESSA Alaihssalam Se Ke Mutalliq Qur'an Ye Sifaat Batla Raha He!

AL-QURAN
Aur Me Accha Karta Hun Andhey Aur Korhi Ko,
Aur Murdey Zinda Karta Hun ALLAH Ke Hukum Se
(Aal-E-Imran Ayat#49)

 Pas Isi Tarah ALLAH
Apni Ataa Sey
Apne MaqbooLeen Ko
Ghaib Ka ELm,
Tasarrufat,
Bando ki Imdad Wa
Haajat Rawa'ee
Wgera
Ataa Frmate He.

+DÄRS-E-QURÄN+
@04

ALLAH Jise Chahy Betyan Ataa Frmaye Or Jisey Chahy Bete Dey
(Al-SHURA Ayat#49)

Q. To Kya Hum Ksi MaQbooL
Ghair e KHUDA K Lye Aisa Aqeeda Nahi Rakh Saktey

A.Rakh Sakte Hen

AL-QURÄN
(JibreeL)
Me Tere RABB Ka Bheja Hua Hun Taa Ke Me Tujhe Ek Suthra Beta Dun
(MARYAM Ayat#19)

+DÄRS-E-QURÄN+
@05

Tum Frmao Tumhe WAFAT Deta he Mout Ka Farishta Jo Tum Par Muqarrar He
(SAJDAH Ayat#11)

Kesi AJEEB Baat He Ke Loug Is Aayet Par
To Sar-e-Tasleem Kham Karen
Par Is Aayat Ka Inkaar Karte Phiren
Ke..

ALLAH Aur Iska RASOOL Aur MOMIN Tumhare Madadgaar Hen
(MAAEDA Ayat#55)

Aisa Kyun

+DÄRS-E-QURÄN+
@06

BeShak Izzat Sari ALLAH Ke Lye He
(YOUNUS Ayat#65)

Q.
Agar Hum ALLAH Ke Pyaron Ko Bhi Izzat Wala Kahen To Kya Ye SHIRK Hoga

A. Ji Nhe,
Kyunke Ye Bi QURAN Ka Irshad He
Aur Izzat To ALLAH Aur Iske RasooL Aur Musalmano Hi K Lye He
Magar Munafiqon Ko Khabar Nhe
(MUNAFIQOON Ayat#08)

+DÄRS-E-QURÄN+
@07

Beshak Tumharey Pas ALLAH Ki Taraf Se Ek Noor Aaya
(Al-Maida Ayat#15 P#6)

Tafaaseer

Ibn e Abbas P#72
Kabir V3 P#396
Khaazin V1 P#417
Madarik V1 P#470
Roohul Ma'ani V6 P#87
Roohul Bayaan V1 P#548
Durr e Mansoor V3 P#231
Jalalain
Ibn e Jareer
Madarijunn Nubuwwat
Mahawibul Ladunya

Aur Deegar Tamaam Moatabr Tafaseer Me Yahi Likha He Ke Yahan Noor Se Murad Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Hen

Deegar Qur'ani Hawale Bi Milte Hen

+DÄRS-E-QURÄN+
@08

Yahan Bi Noor Se Muraad Sarkar Hn

Kuffaar Chahtey Hen Ke ALLAH Ka Noor Apne Mun Se Bujha Den Aur ALLAH Na Maaney Ga..
(Al-Touba Ayat#32)

+DÄRS-E-QURÄN+
@09

Hazrat Essaa Alaihissalam
Ka Elaan;

Kon Mera Madadgar He ALLAH Ki Taraf
(Aale Imran Ayat#52)

Q.
Essa Alaihissalam Ka Is Tarah Gairullah (Yani Hawariyo) Se Madad Mangna Shirk Kyu Nhi Hua

A.
KyunKe;
Beshak ALLAH Inka Madadgar Aur Jibreel o Naik Mominin Madadgar
(Tehreem Ayat#04)

+DÄRS-E-QURÄN+
@10

Farma Dijye, Mere Lye ALLAH Kaafi He
(Touba Ayat#129)

Q.
To Kya Ye Kehna SHIRK Hoga
Ke
Mere Lye ALLAH o RasooL Kaafi Hen

A.
Nahi Ji
Qur'an Me To Ye Bhi He;
Aye NABI Aapko ALLAH Kaafi He Aur Ittiba Karne Waley Mominin
(Anfaal Ayat#64)

Yaad Rahey!!
Aayat Ka Inkaar KUFUR He

+DÄRS-E-QURÄN+
@11

ALLAH Hi Hukum Deta Hey
Aur
ALLAH Hi FAISLA Karne Wala Hey

Lekin
Dusri Taraf Qur'an Me Ye Bhi Irshad Hua;

Shohar Aur Biwi Ke Tanaz'ey (Jhagre) Ko Hal Karne Ke Lye Ek Faisla Karne Wala Biwi Ki Taraf Sey
Aur Ek Shohar Ki Taraf Sey Muqarrar Kya Jaye
(Al-Nisaa Ayat#35)

Kya Samjhey

+DÄRS-E-QURÄN+
@12

Koun He Jo SHAFA'AT Karey Bagair IZNE KhudaWandi Key
(Aayatul Kursi)

RAB Ki Ijazat Ke Bagair Aqida e Shafa'at To SHIRK Hey
Ijazat Ke Sath Ain Touheed

Isi Tarah
Bando Ko Gair e KHUDA Ki Taraf Se Milne Wali Imdaad Bhi
ALLAH Hi Ke IZNN Aur Uski Ataa Sey HaasiL Hey
Jesa Ke SHAFA'AT

+DÄRS-E-QURÄN+
@13

Buhat Se Log Is Qur'an Se Gumraah Hotey Hen
Aur Buhat Se Log Is Se Hidayat Paate Hen
(Al-Baqarah Ayat#26)

¥ Gumraahiyat ¥
Zamana e MOULA ALI
Me Ek GiROH Ne Qur'an Ki
Ek Aayat Ko Maana
Lekin Dusri Aayt Ka Inkaar Kya
Aur MOULA ALI Ko Mushrik Kaha
(Bukhari - Muslim)
Jese Aaj Kal Ke...

+DÄRS-E-QURÄN+
@14

Q.HumYa Rasoolallah Madad
Ya Ghous Al Madad Kyun Kehte Hen

ALLAH Ki Ataa Sey Anbiya, Auliya Bhi Fayda Puhncha Saktey Hen.

Qur'an Parhen;
Noor Paayen;

Tumhara Madadgar Nahi Magar ALLAH Aur Uska Rasool (Sallal laho Alaihe Wasallam)
[Al-Maida 55]

ALLAH Aur Uskey Rasool Ney Apney Fazal Sey Ghani Kar Dya
[Touba 74]

Be Shak ALLAH Unka Madadgar Aur Jibreel Aur Naik Imaan Waley Aur Is Ke Baad Farishtay..
[Tehreem 4]

+DÄRS-E-QURÄN+
@15

Q.Kya Maqboolan e Khuda Ki Qameez Bhi Shifa Deti He

Yousuf Alaihissalam;
Meri Ye Qameez Le Jaao,
Isey Mere Baap(Walid) Ke Mun Par Daal Do
(Yousuf Ayat#93)

Phir Khushi Sunane Wala Aaya To Qameez
Yaqoob (Alaihissalam) Ke Mun Par Daal Di Usi Waqt Unki Aankhen Loutt Ayin
(Yousuf Ayat#96)

Jab ALLAH Ke Naik Bando Ki Qameez Ki Barkat Se Aankhen Milti Hen To Unke Mazar Par Jaa Kar Iktisaab e Faiz Lene Walon Ko Kya Na Milta Hoga

+DÄRS-E-QURÄN+
@16

Beshak Wo Jinko Tum ALLAH Ke Siwa PÖÖJTE Ho,
Tumhari Tarah Bandey Hen,
To Inhe Pukaro Phir Wo Tumhe Jawab Den Agar Tum Sachche Ho
(A'raaf Ayat#194)

Ye Aur Is Tarah Ki Kayi Ayaat Butön Ki IBAADAT Ki Mazammat Me NaaziL Ki Gayin Hen
Na Ke SAALiHEEN Ke Muta'alliq.
(Qurtubi V7 P#300)
(Tafsire Kabir V5 P#431)

Kharji Itne Gumraah Hen Ke Jo Aayaten Kaafiron Ki Muzammat Me Naazil Huin, Musalmano Par Chispaan Karte Hen
(Bukhari V#2 P#1024)

+DÄRS-E-QURÄN+
@17

Aur Wo(NABI) Koi Baat Apni Khuwahish Se Nahi Kartey Bulkey Wo Sirf 'WAHEE' He Jo Unhey Ki Jaati Hey
(Al-Najam Ayat#3-4)

WALLAH!
Mujhe Is Baat Ka Khouf Nahi Ke Tum Mere Baad Shirk Karoge
(Bukhari V2 P#975 H#6102)

Sab Se Pehle MusaLmano Ko Mushrik Kehne Waley 'KHAARJI'
Aur Aaj...

+DÄRS-E-QURÄN+
@18

Aur Jo Raah e KHUDA Me Maare Jayen Inhe Murda Na Kaho Balke Wo ZINDA Hen..
Haan Tumhe Khabar Nahi
(Al-Baqarah Ayat#154)

Jab Ek Aam Ummati Ka Maqam Ye He!

To Zara Ghour Kijye

Ke Khud Us NABI Ka
Maqaam o Martaba Kitna Buland o Baala Hoga!
Ke Jis NABI Ka Ye Shaheed Ghulam Hey

+DÄRS-E-QURÄN+
@19

QUR'AN
ALLAH Rauf O Raheem He
=AL-BAQARA2143

Aur Dusri Jaga
Huzoor Ko Rauf O Raheem Frmaya He
=T0UBA11128

+DÄRS-E-QURÄN+
@20

QUR'AN
ALLAH A'ala He
=AL-AALA301

Yahi Lafz Moosa Alaihisslam Ke Lye Farmaya
=TAA'HAA1668

Aur Teesri Jaga
Tamam Iman Walo Ke Lye Bhi Yahi Lafz Frmaya Gaya
AALE IMRAN3139&MUHAMMAD2635

Farq ZaaTi Aur Ataai Ka He!
ALLAH Noor e Qur'an Se Hamari Zindagi Khushgawar Bana Dey

+DÄRS-E-QURÄN+
@21

QUR'AN
Allah Azeem He
=BAQARA3255

Aur Dusri Jaga
Apne Mehboob Ki KHALQ Ko Bhi Azeem Farmaya
=AL-QALAM294

Qur'an Ko Samjhen

+DÄRS-E-QURÄN+
@22

QUR'AN
Allah Kareem He
=AL-NAFTAR306

Ek Jaga
Apne Mehbub Ko Bi Kareem Farmaya
=AL-TAKVEER19

Yahi He Aarzoo Ta'lim e Qur'an Aam Hojae

+DÄRS-E-QURÄN+
@23

QUR'AN
Allah Moula (Aaqa,Madadgar)
=AL-BAQARA3286

Jibrail Aur Naik Momin Bhi Moula
=TEHREEM284

Mgar Bande ALLAH Ki Ata Se Moula Hen

+DÄRS-E-QURÄN+
@24

QUR'AN
Allah Aleem
(Elm Wala  Janne Wala) He
=AL-BAQARA231

Aur Dusri Jaga
Bando Ko Bhi Aleem Farmaya Gaya
=YOUSUF76

Ab Batayye

+DÄRS-E-QURÄN+
@25

QUR'AN
ALLAH Bhi Wali Hai Aur Us Ka Rasool 0r Eman Waley Bhi
=AL-MAiDA655

Shirk, Biddat Ki Ratt Lagane Waley Gour o Fikar Karen

+DÄRS-E-QURÄN+
@26

QUR'AN
ALLAH Aur Us KE Rasool Dono Dene Wale (Daata) Hen
=AL-TOUBA1059

~Mere Aaqa Detey Hen~
~Jholi Sab Ki Bhartey Hen~

+DÄRS-E-QURÄN+
@27

QUR'AN
Allah Sirat Ul Mustaqeem Ki Hidayat Deta He
=AL-BAQARAH142

Rasool uLLAH Bhi Sirat Ul Mustaqeem Ki Hidayat Dete Hn
=AL-SH0'RAH52

+DÄRS-E-QURÄN+
@28

QUR'AN
Allah Shaheed
=AAL IMRAN180

Rasool Bi Shaheed
=BAQRA143

Mazey Ki Baat;
Aaj Kal Hr Naya Firqa B Marne Walo Ko
Shaheed Kehta He

+DÄRS-E-QURÄN+
@29

QUR'AN
ALLAH
RASOOL
Aur.....
Naik Momin Bhi !

WALI
MADAGAAR
MUSHKiL KUSHA
DAATA
GHANi
GANJ BAKHSH
GAREEB NAWAZ
Hen
=MAiDA55
=TOUBA74

+DÄRS-E-QURÄN+
@30
Last

FAiSLA

ALLAH Ne Apni Ataa Sey Apni Sifaat Ka Mazhar Bando Ko Banaya He

Phir Ghous
Khuwaja
Gareeb Nawaz
Kehna Shirk Kesey..

Agr Sab Shirk He To Nabi Ne Kyun Farmaya Ke Muje Tumse Shirk Ka Khouf Nhi
(Bukhari)

Deen Buhat Aasan He
Magar Fitna e Wahabiya Qur'an Ka Galat Tarjuma
Kar Ke
Aur Kafiro K Baare Me Nazil Hone Wali Aayat
Muslmano Par Chispaan Kar Ke Logo Ko Gumraah Krne Ki Koshish Karta He
ALLAH Inke Shar Se Bachaye!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...