Source(Google.com.pk)
Bura Naa Kaho Islamic SMS
Bura Naa Kaho
@01
Ye Ek Haseen Fareb e Nafs Hy
Har Cheez Apny Hareef
(Mukhalif) Sy Pehchani Jaati Hy
Jesy
Din Ke Muqably Me Raat,
Achayi Ke Muqably Me Burayi
To Achayi Ko Achayi
Aur Burayi Ko Burayi
Kehna Hi Insaf Hy
Magar Kuch Log
Burayi Ko Bura Kehny Sy
Bi Darty Hen
Aur Bus Ek Ratt Lagaty Hen
"Kisi Ko Bura Na Kaho"
Suwal Ye He Ke
Kya Burey Ko Bhi Bura Nahi Kehna Chahye?
Islam Ne To Hamen Yahi Dars
Dya Ke Kafir Ko Kafir Hi Kaho
(Kaafiroon P#30)
Bura Naa Kaho
@02
#Khoobsurat Dhoka#
Kis Qadar Farib,
Kesa Khubsurat Dhoka Hy,
Ye Jumla Ke
"Bura Na Kaho"
Ye Us Jaga Faida Mand Hy
Jab Kisi Shareef
Ki Burayi Ki Ja Rahi Ho
Lekin Jo Bura Hy
To
Fitratn AapKe Dil Me Us Sy Nafrat Paida Hogi
KyunKe
Ahle Insaf
HAQ Ko HAQ
Or
Batil Ko Batil
Hi Kaha Krty Hen
Bura Naa Kaho
@03
#Jahaalat#
Jab Bad'Mazhabon Ka Radd Kya Jaye
To Kuch Kehty Hen
Buzurgan-E-Deen Kisi Bad'Mazhab Ko Bura Nahi Kehty Thy
Ye Baat Kehna Aisy Logon Ki JAHALAT Hey
Huzoor Ghous e Paak
Ny
"Guniyatu Talibeen"
Me Aur
Data Ganj Baksh
Ny
"Kashful Mahjoob"
Mai By'Shumar
Baatil Firqon Ka Naam Ley Kar Radd Kya
Lihaza
Aisy Log
Baat Karny Sy Pehly Sochen
Aur
"Kisi Ko Bura Na Kaho"
Ke Fareb Sy Nikal Kar
HAQ Ko HAQ
Aur
Baatil Ko Baatil
Kehna Seekhen
Bura Naa Kaho
@04
#Aaj Kal#
To Ye Marz Aam Hy
Ke Maa Baap Ki
Bay-Adbi Ki Jati Hai,
Sharab
Chori
Be'Hayai
Fahashi
Bad'Aqidgi
Ki Kasrat Hy
Magar
Logon Ny Aaj Tak In
Buraiyon Ke Khilaf To Koi Qadam Nahi Uthaya
Han Bas Ye Jumla
"Kisi Ko Bura Na Kho"
Usi Waqt Yaad Aata Hy
Jab
ALLAH Ki Shaan
Mai Be-Adabi
Karney Waly Ki Dhajjiyan Bikhr Rahi Hon.
Jab Dushmn e RASOOL Ka Bhaanda Phoot Raha Ho.
Pata Nahi
Log Kab
HAQ Ko HAQ
Aur
Baatil Ko Baatil
Kehny Lagen Gy
Bura Naa Kaho
@05
#Kyun Janab ? #
Kya Sirf
Chorr,
Daku,
Sharabi
Aur Zaani Hi Mujrim Hen?
Jo Ap Unko Bura Bhala Kehty Hen Aur Saza Bhi Dety Hen.
Aur Jo Logg
ISLAM Ka Libada
Orrh Kar ISLAM Ko
(Mu'az-ALLAH)
Nuqsan Pohanchaen
Aur
Phir Jab Koi
Aapko Aisy Logon Ki Nishandhi Karaye
To Barey Bholy Pan Sy Ap Ye Keh Kar Guzar Jaty Hen K Bhai
"Kisi Ko Bura Na Kaho"
INSAAF KIJIYE !!!
Aur Achche Ko Achcha
Aur Burey Ko Bura Kehny
Ki Himmat Paida Kijye
Bura Naa Kaho
@06
#Mouqa Ki Munasibat#
Agar Apka Ye Jumla Ke
"Kisi Ko Bura Na Kaho"
Bilkul Theek Bi Hy
To Phir Mouqa Mehal Bi Dekhna Hoga
Masalan:
Kuch Log Kisi Chorr Ko Pakar Len Aur Uski Pitayi Kar Rahey Hon,
Aap Wahan Ye Keh Den Ke
"Kisi Ko Bura Na Kaho"
Phir Dekhye
Aap Ke Sath Kya Hota Hy?
Apko Andaza Hojaye Ga Ke Ye Jumla Apny Galat Mouqa Par Keh Diya.
Pas Is Soch Ko Apply Krne
Me Munasibat Ka Bi
Bara Dakhal Hy
Or
Jo Jesa Hy
Usey Wesa Kehna Hoga
Bura Naa Kaho
@07
Jab Shaitan Ny
Hukm-e-Khuda'Wandi
Sy Inkar Karty Hue
Hazrat ADAM
Ko Sajda Na Kya
To
ALLAH TA'ALA Ny
Iblees Ko IBLEES
Keh Kr Mukhatib Farmaya
Iblees K Ma'ani:
Shaitan/Shareer
Isi Tarah
Ek Gustakh e Rasool
Ki Qur'an Me 10 Buraiyan Ginwayi Gayin
Sabit Hua
Ke Burey Ko Bura
Kehna HAQ Hy
No comments:
Post a Comment