Thursday, 24 January 2013

Bait

Source(Google.com.pk)
Bait Islamic SMS


BAiT
@01

Q.Murshid O Rehnuma Kyu Zaruri He?

A."Har Jama'at Ko Imam Ke Sath Bulayen Ge"
(Bani Israil Ayat#71)
Iske Elawa
Sura Kahaf Ayat#17 Se B Murshid Ki Haqiqat Sabit He
Lihaza Sahihul Aqida Namazi, Parhezgar Aur Kaamil Shakhs K Hath Pr Bait Krke Uske Hukum Par Chalna Chahye

Ibn e Umar RadiyALLAHu anhu Farmate Hen:
Hum Nabi Paak Alahissalatu Wassalaam Ki Bait Kya Kartey
{Abu Dawood J2, H#1166, P#443}
Aurten Parda Me Zubani Ehad Karen

BAiT
@02

Jareer Bin Abdullah Farmaty Hen
Ke Me Ne Aaqa Sallallahu Alaihi Wassallam Sy
NAMAZ Qaaim Karny
ZAKAAT Dney
Aur Har Musalman Ke
Khair Khuwah Rehny Par Baiy'at Ki
(Bukhari V#1 H#497)

Sarkar Sahaba Sey
Jin Baato Par Baiy'at Letey They
Bad Qismati Sey
Aaj Ka Haakim Khud In Baato Ke Khilaf Hy

BAiT
@03

Jo Shakhs Is Haalat Mey Maraa Ke Iski Garden Mey Kisi Ki Bait Nahi
Wo Jahaalat Ki Mout Mara
(Mishkat P#320)

BAiT
@04

PEER o MURSHiD:

"Hamesha Sunni Sahih ul Aqeeda Aur Paband e Shariat Peer Sa Bait Ki Jaye,
Jo Masail Jaanta Ho
Aur Us Ka Silsila Huzur Alaihissalatu Wassalaam Tak Muttasil Ho,
Aur Bila Shuba Jaahil Faqeer Ka Mureed Hona Shetan Ka Mureed Hona He"
(Malfozat P#297)

BAiT
@05

Peer Me 4 Sharait Hona Laazmi Hen

1> Sunni Saheehul Aqeeda Ho

2> IsKey Paas Fiqah Ka Itna Ilm Ho Key Apni Zarurat Key Tamaam Masaail Jaanta Ho Aur Koi Masail e Jadeeda Paish Aaye To
Iska Hukum Khud Kitaab Se Nikaal Sakey

3> Iska Silsila Syedul Ambiya Se Lekar Is Tak Key Tamam Buzurgon Ka Suboot Ho, Beech Me Koi Gayab Na Ho

4> Koi Aelaniya Gunaah Na Karta Ho
Aur Koi Sagheera Gunaah Ho Jaye
To Foran Touba Kary
(Fatawa Razavia Qadem V#9 P#114)

BAiT
@06

Peer Aur Mureeda Ke Darmaiyan Parda:

Aalahazrat Imam Ahmed Raza Farmatey Hen!
"Beshak Har Gair Mehram Se Parda Farz He Jiska ALLAH Aur Uske Rasool Ne Hukam Dya He.
Beshak Peer Mureeda Ka Mehhram Nahee Ho Jaata, Un Se Bhi Parda Laazim He"
(Masail e Sima'a P#32)

BAiT
@07

Q. Tareeqat Kya Hy?

A. Tareeqat, Tasawwuf, Roohaniyat
Teeno Ek Jesey Alfaaz Hen.
Jab Insan Shariyat Par Mukammal Amal Karne Lagy To
Shariyat Aur Islam Us Men Samaa Jaata Hy,
Wo Mo'min Ke Zumrey Me Aajata Hy,
Yahan Sy Tareeqat Shuru Hoti Hy

Tareeqat Sy Murad Apni Manzil
Ya'ni ALLAH Ko Paana Hy

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...