Thursday 24 January 2013

Bahisti Darwaza

Source(Google.com.pk)
Bahisti Darwaza Islamic SMS


Bahishti Darwaza
1@
Mazarat e Aoliya
Umuman
Or
Baba Farid Shakar Ganj
ka Mazar
Khususan
Sha'aairullah may se
1 Shiaar e Azeem hy
Or
Iska Wo Darwaza jo Bahishti Darwazey k naam se Maruf hy
Bari Azmet ka Hamil
Or
khususiyet k sath
Aaqa Karim
w Khulaf e Rashideen
ki Arwah e Tayiba
ki Jalwa gah
Or
Mukhliseen Ehl e islam k liye payam e Rehmat
Or
Khush Aqeedgi k sath wahan se Guzarna
Baais e Maghfirat
Or
Bulandi e Darjat k
Muzda e Janfiza
Or
Bashaarat e Uzma hy

Behishti Darwaza
2@
Is Darwazey k Fazaail k Sahee
Or
Sabitul Asal honey k liye itna kafi hy k
Is Bab ki is fazeelat k zuhoor k Bad k
Jumla Mashaikh o Aolia
Bilkhusus
Sayed Sulaiman Taonswi
Pir Mehar Ali Shah Golarwi
Khuaja QamrudDin Siyalwi
Sayed Ahmed Saeed Kazmi
Wagera
Na sirf ye k is ki Fazeelat k Qaail
Or
Sarapa Adab ban kr Guzarnay k Faail
Or
Husn e Aqeedat k Sath wahan se Guzarney walon ko
Nahayet Khush Bakht Tasawwur farmatey they.

Behishti Darwaza
3@
Is Darwazey k
"Bahishti Darwaza" kehney ki
Umumi Daleel e Shar'aee
ye hay k
Bashumul Bukhari Ahadees e Saheeha kaseera ki Ru se
Jumla Momineen Saliheen
Or
Tamam Aoliya e Kamileen
k Qubuoor e Mutahira
Or
Mazarat e Muqaddasa
"BAAGICHA E JANNAT" hain.
Jab Huzur k Farman k Mutabiq
"Her Momin ki Qaber Jannatul Firdos ka Tukra hoti hay" (Bukhari)
To Goya Wali k Mazar per janey wala,
goya Jannat k Darwazey he may Dakhil hota hay.

Behishti Darwaza
4@
Khususi Daleel ye hy
K
Mehr e Munir P-430
Per Pir Mehar Ali ne
Silsila e Chisht k Akabir Mashaikh ka Musaddiqa
Or Kutub e muta'addid, Motabira k Hawaley se ye likha k
Khuaja Nizamud Din Aolia (Khalifa e Baba Farid) ka farman hy
"may ne Aalam e Zahir may Apni Sir ki Aankhon se
Huzur karim ko
Charon Yar k Sath
Bajism e Athar
6,7 Muharam ki Darmiyani Shab
is Darwazey se Guzar kr Maqbarey k Andar Tashrif lay jatey Daikha hay
Or
Huzur ka ye Irshad Suna hy k
"Man Dakhala Hazal Bab Faqad Amana"
Jo is Darwazey may Dakhil Huwa wo Aman Pa gaya"
Neez Mashaikh e Izam ka bhi is pr ittifaq raha hy"

Behishti Darwaza
5@
Bahishti Darwazey pr
Hzrat Khuaja Nizamud Din Aolia k Hawaley se Ye Qoal likha hy k
Man Dakhala.....
Jisay Sadyon se Hr Saal Hazaron Ulama o Aimma mulahiza farma kr Tasdeeq farmatey
ya km az km iski Tardeed se Sukut farmatey Hain
Jo is k Sahee Honey pr In k Ittifaq ki Roshan Daleel hy

Behishti Darwaza
6@
Chun k Bahishti Darwazey ki Fazeelat Sadiyon pehley ki Sabit shuda Haqiqat hay
Is se ye bhi sabit huwa
K
Ehl e Sunnat k Aqaaid ki Bunyad Aalahazret ne nahi rakhi.
Apki haisiyet mehaz mudawwin o Tarjuman ki hay.
Ehle Sunnat wal Jamat
Or is k
jumla Aqaaid o Nazeryat Sadiyon Puraney hain

Behishti Darwaza
7@
Akabir Ulama e Dewband ka Dawa hy k
Wo B Chishti Silsilay se Wabista hain
Rashid Gangohi, Qasim Nanotwi w Ashraf Ali Thanwi Etc ne
Haji Imdadullah Muhajir Makki ko apna Peer bana kr un se Beat ki thi
(Taqdeem e Kuliyat e Imdadiya)
Or Haji Sahb ka Silsila Chishtiya Sabriya o Nizamiya hy
(Kuliyat e Imdadiya)
Ab agar inka Dawa Sacha hy to
Usooli tor pr
Bahishti Darwazey
k Fazaail ka Haq Tasleem karna
Dewbandiyon pr Lazim Qarar paya.

Behishti Darwaza
8@
Dewbandiyon k 1 Musallima Aalim Gulam Muhammad Ghothwi ne Bahishti Darwazey ki Maruf Fazeelat ko
Sabitul Asal Sahee
Or Durust Qarar dia. Kehtey hain
"Bahishti Darwaza Musalmanon pr Allah ki Khas Rehmat ka Mazhar
Or
is k Sahee o Sabit honey may koi Shuba nhi.
Bayan e Fazeelat k Rawiyon may Tamam Siqa o Motaber hain
Or
is may Shak karna Zalalet Or Gumrahi hay"
(Maqam e Ganj Shakar
Az Captan Wahid Bakhsh Siyal
Matbua Lahore
P 206 to 210)

Behishti Darwaza
9@
Is Fazilat ka yoon Mazaq Uraney Walon se k
"Sara saal gunah kro aur Darwazey se guzar k Janati ho jao"
Hamara ye Suwal hy k
kis Zimmedar Aalim ne Apni kitab may yoon likha?
Phir Agar Aitiraz Durust B ho to
phir to ye Aitiraz Un Tamam Aayat o Ahadees pr B hoga
jin may Qalil Amal pr Bakhshish ka Wada hy
Jaisay
"Jo koi 100 Bar Roz
"Subhanallahi WabiHamdihi"
Prhey to Samandar k Brabar B gunah hon to Muaf ho jaen
(Aorad e Rehmani
Az Thanwi)

Behishti Darwaza
10@
Fazaail pr Quraan o Hadis ki Dalil Talab krney waley
Pehley In Ibaraat pr Dalil Laaen
1-Wallahul Azeem Molwi Thanwi K Paun Dho kr Peena Nijat e Ukharwi ka Sabab hy
(Qaail-Aashiq Ilahi Meerthi
Kitab-Tazkiratur Rashid
J-1)
2-May Sach kehta hun k Huzur (Rashid Gangohi) ki Raza ko
Dalil e Qabul
Or
Wasila e Nijat
Samajhta hun
(Qoal-Ashraf Thanwi
kitab-Tazkiratur Rashid
J-1)
3-Ismail Dehalwi ne Apney pir Ahmed Raey Barelwi k barey may likha k
Allah ne inka Hath apney Dast e Qudrat may pakar kr farmaya
K Agar koi lakhokha B in ki Beat karey ga to Ham isko kifayet karen gy
(Sirat e Mustaqim)

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...