Thursday 24 January 2013

Badkari

Source(Google.com.pk)
Badkari Islamic SMS

@BADKAARi@
01

Mard Ka Biwi Ke Ilawa
Aur Aurat Ka Shohar Ke Ilawa
Kisi Se Hum Bistari Karna Zinaa Hy

Aye Iman Walo
Shetan K Qadmo Pr Na Chalo, Jo Shetan K Qadmo Par Chale To Wo To Be Hayai Aur Buri Baat Hi Bataye Ga
(Sura Noor #21)

Tum Farmao
Mere Rab Ne To Be Hayaian Haram Farmayin
(Surah A'araf #33)

@BADKAARi@
02

"Aur Bad Kaari Ke Paas Na Jaao,
Beshak Wo Be Hayaai Aur Buhat Buri Raah Hey"
(Bani Israeel Aayat#32)

"(Najaat Paa Gaye) Wo Jo Apni
Sharam Gaahon Ki Hifaazat Kartey Hen"
(Momineen Aayat#05)

"Aur Bad Kaari Nahi Kartey,
Aur Jo Ye Kaam Karey Wo Sazaa Paayega"
( Furqan Aayat#68 )

@BADKAARi@
03

Musalman Mardon Ko Hukum Do,
Apni Nigaahen Neechi Rakhen
Aur Apni Sharam Gaahon Ki Hifaazat Karen,
Ye Unke Lye Buhat Suthra Hey,
BeShak ALLAH Ko Unke Kaamon Ki Khabar Hey Aur Musalman Aurton Ko Hukum Do!
Apni Nigahen Neechi Rakhen
Aur Apni Paarsaayi Ki Hifazat Karen"
(Noor Aayat#30-31)

@BADKAARi@
04

Mustafa Kareem
Alaihissalatu Wat Tasleem
Irshad Farmatey Hen;
"Zinaa Karney Wala Jitni Dair Zina Karta Hey, Us Waqt Wo (Kaamil) Mo'min Nahi Rehta"
(Bukhari Sharif Hadees#6810)

Aah !!
Agar In Bad Kaariyon Ki Waja Se Mout
Ke Waqt Hamara Imaan Chala Gaya
To Hamara Kya Bane Ga

@BADKAARi@
05

Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam
Ne Irshad Farmaya;
"Jis Qoum Me Bhi Zina Zaahir Hua
To Us Qoum Ko Qehat (Faqr o Faaqah, Tangdasti) Me Mubatala Kar Dya Gaya"
(Mishkat H#3582)

Hamen Khouff Karna Chahye !!
Hamarey Mulk Me
Bijli, Paani, Gas Wagera Ka Bohraan
Ki Waja Kaheen BadKaari To Nahi ??

@BADKAARi@
06
Zinakaar Faqat Fehesh Amal Hi Nhe Krta, Bulke Maqruz Ban Jata Hy.

Ye Qarz Is Ke Ahl-e-Khana Sy Koi Na Koi Chukata Hy

Imam Shafayi;
"Pak Daman Raho,
Tumhari Aurten Pak Daman Rahengi,
Beshak Zina Qarz Hy
Agar Tu Ne Isy Lya To Adayegi
Tere Ghar Walon Se Hogi.
Tu Aqalmand Hy Tu Isey Jaan Ly"

@BADKAARi@
07

Saza Deney Ka Haq
Haakim Ke Faisley Se Hoga
Kisi Aam Insan Ko Ikhtiyaar Nahee

"Jo Aurat BadKaar Ho, Aur Jo Mard,
To Un Me Har Ek Ko 100 Korey Lagao,
Aur Tumhen Un Par Taras Na Aaye,
ALLAH Ke Deen Me Agar Tum Imaan Laatey Ho ALLAH Aur Pichle Din Par,
Chahye Ke Unki Saza Ke Waqt Musalmano
Ka Ek Giroh Haazir Ho"
(Noor Aayat#02)

Mard Ke Lye 100 Korey
Jabke Aurat Ke Lye 80 Korey Ki Sazaa Hey
(Hashiya Khazain ul Irfan
- Molana Naeemuddin)

@BADKAARi@
08

# RAJAM #

Shaadi Shuda Zina Karey To Uski Saza RAJAM Hey Ya'ni Pathar Maar Maar Kar Halaak Karna

"Koi Shaadi Shuda Shakhs
Zina Karey To Us Par Rajam Ki Hadd Jaari Karna Lazmi Hy
Bashart Ye Ke Gawah Mojud Hon,
Wo Khud Aetraaf Karey
Ya HAMAL (Pregnancy) Ki Soorat Zahir Ho"
(Tirmizi 1/1290)

@BADKAARi@
09

"Ye Baat Zehan Nasheen Karlo Ke
ALLAH Ne Un Aurton Ke Lye Raasta Nikaal
Dya Hey Chuna Chey
Agar Zaaniya Shaadi Shuda Ho
To Usey 100 Korey Maarney Ke Baad
SangSaar Kar Dya Jaye Ga
Aur Agar Kanwari Ho To
100 Korey Aur Ek Saal Ke Lye
Jilaa Watan Kar Dya Jaayega"
(Tirmizi V#1 H#1293)

@BADKAARi@
10

Ek Shakhs Ne Baargaah e Risaalat
Me Poochey Jaaney Par
4 Martaba Zina Ka Aetraaf Karlya,
Uske Iqrar Par 4 Martaba
Aaqa Alaihissalatuwassalaam Ne Mun
Pher Lya

Phir Suwal Kya;
"Kya Tum Pagal Ho?"

Kaha "Nahee"

Phir Farmaya;
"Kya Tum Shadi Shuda Ho?"

Arz Ki Ke "Haan"

Phir Sarkar Alaihissalatu Wassalaam
Ne SangSaari Ka Hukum Dya
Uski Halaakat Ke Baad
Aap Ne Uske Lye Kalma e Khair Farmaya
Magar Namaz e Janaza Na Parhi
( Tirmizi V#1 H#1288 )

@BADKAARi@
11

# LAWAATAT #

Mard Ka Mard Sey
Aur
Aurat Ka Aurat Sey
Badkaari Karna Lawatat Hy
Aur Ye Haram Hy

Iski Waeed
Sura Baqarah Aayat#222
Sura A'araf Aayat#80,81
Me Aayi

Isi Tarah
Apne Haath Se Qaza e Shehwat Karna Bhi Haraam Hy

1 Ummat Ko ALLAH Ne Ye
Azaab Dya
Ke Wo Apni Sharam Gaho Se Khela Karty

Sura Momin Ayat#7 Me
Iski Waeed Hy

Is Ganda Kaam Karny Walon Ko
ALLAH Rouz e Hashar
Na Paak Kary Ga
Na Rehmat Ki Nigah Sy Dekhe Ga
(Ibn e Kaseer)

@BADKAARi@
12

"Sab Se Zyada Mujhe
Apni Ummat Pr Jis Cheez Ka Khouf Hy
Wo Qoum e Loot Ka Amal Hy"
(Tirmizi H#1462)

Khoff Dilaney Ke Lye
Ye Farman Kaafi Nahi ?

@BADKAARi@
13

Is Burayi Me Mubtala Qoum Par
Azaab Naazil Hua;

"Hum Ne Un Par (Patharon Ka) Ek Meenh
Barsaaya,
Kesa Anjam Hua Mujrimon Ka"
(Aa'raaf Aayat#84)

@BADKAARi@
14

# MUSHT ZANi #

Ye Gunaah e Kabeera Hey

Aisa Karney Waley Ko
Hadees Paak Me Mal'oon Kaha Gaya Hey
(Miraqil Filaah P#96)

Is Sey Mardaana Kamzori Bhi Aati Hey,
Thakan Lagti Hey,
Nazar Kamzor Hoti Hey
Aur Aksar Dekha Gaya
Ke Aisa Karney Wala
Shaadi Ke Laaiq Nahee Rehta

ALLAH Mehfooz Rakhey

@BADKAARi@
15

"Hashr Me Aison (Musht Zani Walon) Ki Hatheliyaan Gaabhan (Haamila) Uthen Gi
Jis Sey Unki Sab Me Ruswaayi Hogi"
(Fatawa Razawiya V#22 P#244)

@BADKAARi@
16

Gunaah Ki Taraf Ubharney Me
Eham Kirdaar Nigaah Ka Hota Hey

Jab Koi Mard Kisi Gair Aurat Ki Taraf
Nazar Karta Hey
To Nafs Usey Us Aurat Sey
Baat Karney Par Ubhaarta Hey
Phir Milney Ki Umang Paida Hoti Hey
Aur Phir Gunaah Hota Hey

Lihaza Nazar Ki Hifazat Bhi
Gunaah Se Bachney Ka Sabab Hey

@BADKAARi@
17

Mukhatalif Ahadees Se Ye Baat
Ma'khooz Hey;

1> Zuban Ka Zina Naa-Mehram Sey Baat Karna Hey

2> Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat Hey

To Phir Kyun
Hum Yahudi Laabi Sey
Milne Wale Fone Packages Ka
Galat Istemaal Karke Hum Apni Aakhirat Kharaab Kartey Hen ?
Wo Hum Me Bigaar Paida Karna
Chahtey Hen

@BADKAARi@
18

Fone Ya Sms Par
Fehash Guftugu Bhi
Khud Lazzati Hey

Qur'an Farmaty Hy Ke:
"Wo To Hadd Sy Hi Barh Gaye"

Na Mehram Se Aisi Dosti
Bhi Haraam Hy

@BADKAARi@
19

Q.Kya Islam Naa-Mehram Ki Dosti
(Time Pass) Ki Ijazat Deta Hey?

A.
"Aye Nabi Ki BiBiyon!
Tum Aur Aurton Ki Tarah Nahi Ho,
ALLAH Sey Daro To
Baat Me Aisi Narmi Na Karo
Ke Dil Ka Rogi Kuch Laalach Karey,
Haan Achi Baat Kaho"
(Ahzaab Aayat#32)

Jab Musalmano Ki Maaon Ko
Ke Jo Be Hadd Hayaa Wali Hen,
Ye Hukum Hey To Ek Aam Muslim Aurat
Is Sey Kese Mustasnaa Ho Sakti Hey?

Jabke Ibn e Kaseer Ke Mutabiq
Ye Hukum Tamam Musalman Aurton
Ke Lye Hey

@BADKAARi@
20

"Aur Zameen Par Paaun Zorr Se Na Rakhey
Ke Jana Jaye Unka Chupaa Singhaar"
(Noor Aayat #31)

Jab ALLAH Ne Aurat Ki Paayal Ki Aawaaz
Ko Gair Mehram Ko Sunaney Se Mana
Farma Dya To Naa-Mehram Se Bila Zarurat
Phone Par Baat Karna Kesey Durust Hoga?

Mazeed Tafseel Ke Lye Series
"PARDA" Parhye

@BADKAARi@
21

Jo Kehtey Hen
"Hum Dost Hen"
To Is Tarah Ki Wahiyaat Dosti
Ki Bi Islam Ijazat Nahi Deta

"Na Masti Nikalty,
Na Aashna Banaty"
(Maaida Aayat#05)

@BADKAARi@
22

Aashna Matlab "Dosti"
Aur Masti Ke Ma'naa
Yahan "Waqt Guzaari" Ke Hen
Bulke Yun Kahye
Ke Posheeda Zinaa Muraad Hey
Lihaza Waazeh Hua
ISLAM Aisi Kisi Baat Ki Ijaazat Nahi Deta
Ke Din Daharey
Ya Raat Gaye
Naa-Mehramo Se Gupp Baazi Ki Jaaye
ALLAH Hamen Mehfooz Rakhey

@BADKAARi@
23
Last

ALLAH Hamen In Tamam Gunaahon
Sey Mehfooz Rakhey
Aameen

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...