Saturday 9 February 2013

Durood Qabal Azan

Source(Google.com.pk)
Durood Qabal Azan Islamic SMS


ISS:01>DUROOD QBL AZAN
'
Ham Ne Is Series Me Bohat Si Batain Shamil Ki Hn
Jese k
1.Durood Ki Ahmiyat
2.Durood Parhne Ka Hokum
3.Azan Se Qabl Durood Ka Jawaaz
4.Bidat Ki Iqsaam
5.Durood K Seegay
6.Aitrazat K Jawabat
Is Series Me Moqay Ki Munsaibat Se Dalayil Paish Kie Gaye Hn
Is Liye Koi B Sms Miss Na Kijiye Ga
Warna Ho Sakta Hai K Baat Samjh Me Na Aye
'
So Stay With Us & Dont Ask Questions until u may received last sms
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ]

ISS:02> DUROOD QBL AZAN
'
Sb Se Pehle Ek Usool-E-Fiqah Zehan Nasheen Kar Ljjye Ta K Kbi B Kisi Baat Me Ulajh Na Payen
MUTLAQ:Allah Ne Apne Bando Ko Jin Amaal Ka Hukum Dia Or Us Me Koi Qaid Na Lagayi To Wo Hukum Mutlaq Kehlata Hy
Jese Allah Ne Namaz Ka Hukum Dia To Koi Qaid Na Lagayi K Namaz Srf Zameen Pe Hi Parhi Jaye Or Hawa Paani Me Ya Chaand Pe Namaz Maaf Hy
Wudu Ka Hukum Dia To Ye Qaid Na Lagayi K Wudu Thanday Pani Se Kia Jaye Ya Garam Se Ya Mitti K Uper Baith Kar Kia Jaye Ya Pathar Pe
Zakat Ka Hukum Dia To Ye Nahi Farmaya K Kisi Khas Currency Me Hi Zakaat Ada Ki Jaye Ya Coins Ya Note Ki Soorat Me
Bul K Sirf Apne Bando Ko Hukum Farma Dia Or Koi Qaid Na Lagayi.
'
Is Usool Ko Yaad Rakhiye Ga Ta K Agay Chal Kar Asani Ho
'
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ]

ISS:03> DUROOD QBL AZAN
'
Azan K Sath Durood Parhna Mustahab Hy
Jis K Parhne Se Sawab Hasil Hota Hai Or Na Parhne Se Koi Gunah Nahi Hota
Aj Kal Aisa Pur Fitan Dour A Gaya K Ya To Samjhne Ki Taqat Khatam Ho Gayi Ya Hasad, Zid, Hat-Dharmi Or Bugz-e-Nabi Ki Waja Se Samjhne Ki
Koshish Nhi Ki Jati
Azan K Sath Durood Parhne Wale Pr Ye Lazim Nahi K Wo Iski Daleel De Kyun K Tamam Kaam Asal Me Mubah(Jaiz) Hn Jab Tak In K Na-Jaiz Hone Pe
Koi Daleel Qayim Na Ho Wo Jaiz Hotay Hn
Yehi Aksar Ahnaaf Or Shawafi Ka Aqeeda Hy Or Yehi Motabar Hy
Allah K Karam Se Ham Ye Sabit B Krdain Gain
'
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ]

ISS:04> DUROOD QBL AZAN
'
Tamam Ashiya Asal Me Mubah Hn
Jab Tak Na-jaiz Kehne Walay Is K Na-Jaiz Kehne Pe Dalayil Qayim Na Kar Sakain
To Jaiz Maannay Walay Bagair Kisi Daleel K B Jaiz Maan Sakte Hn
Phir B Ham Aap Ki Tasalli K Liye Dalayil Paish Karain Gen
Or Maqsad Sirf Durood-O-Salam Parhne Walo Ko Mutmayin Karna Hai
Kyun K Na-Mannay Waloun Ne To Ambia Ko B Naa Mana
To Durood-O-Salaam To Bht Door Ki Baat Hy
See Next
'
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ

ISS:05> DUROOD QBL AZAN
'
Ahzab A:56
Allah Hukum Irshad Frmata Hy
"Be-Shak Allah Or Us K Farishtay Durood Bhaijtay Hn Gaib Batanay Wale(Nabi) Par Ay Eman Waloun Tum B Un Par Durood Or Khoob Salam Bhaijo"
Is Ayat Se Hamain Bohat Se Heeray Chunnay Ko Milay
1.Allah Ne Ye Hukum Eman Wloun Ko Dia Hy Jis Se Saaf Zahir Hy K Durood-O-Salaam Se Sirf Wohi Mohabbat Krta Hy Jo Eman Wala Hota Hy

2.Allah Ne Yahan Salaam Ki Khaas Kar Takeed Ki Hy K Jab B Momin Apne Huzoor Ki Bargah Me Salaam Paish Kare To Huzoor Ki Yaad Se Us Ka Seena
Munawwar Ho Jaye Or Uska Eman Taza Ho Jaye
3.Next Me
'
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ]

ISS:06> DUROOD QBL AZAN
'
3.Ye K Allah Ne Yahan Waqt Muqarrar Nahi Kia
Yani MUTLAQ Farmaya K Durood Or Khoob Salam Bhaijo
Ye Nhi Frmaya K Kis Waqt Bhaijo Or Kis Waqt Na Bhaijo
Lihaza Wo Auqaat Jin Me Fuqaha-E-Kiraam Ne Durood Paak Parhne Se Mana Kia Hai
Un Maqamat(Moqa-O-Mehal) K Ealawa Mana Karne Walo Ko Daleel Se Sabit Karna Hoga
K Yahan Kyun Mana Hy....
Wo Maqamat Agay Paisah Kiye Jayen Gain Or Allah Ne Chah To Waja B
'
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ]

ISS:07> DUROOD QBL AZAN
'
Muslim Shareef Ki Sharah Me Imam Nawawi(631 Hijri) Frmate Hn
"Ulama Kiram Ne Sarahat K Sath Zikar Farmaya Hy K Nabi Pak Per Durood Prhte Hoe Srf Durood Pr Iqtisar Karna Or Salam K Alfaaz Ko Shamil Naa Krna
Makrooh Hy"
Namaz Me B Attaheyat Me Salaam Or Us K Bad Durood E Ibrahimi Parha Jata Hy
Lihaza Jab B Aqa Pe Durood Parhen To Sath Me Salam Zaroor Parhen
Apko Pehle Durood Ki Ahmiyat Batai Ja Rhi Hy
'
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ]

ISS:08> DUROOD QBL AZAN
'
AHAM OR ILMI NUQTA
Ye Ayat-E-Durood Arabi Qayiday K Lihaz Se Istimrar-O-Dawaam Pr Dalalat Kr Rhi Hy
QK
Ismain Jumla Ismia Hy Jiski Khabar Jumla Failia Hy To Ibtida K Lihaz Se Ismia Hone Ki Waja Se Istimrar-O-Dawam Pr Dalalat Hy Or Intiha Failia Ki Waja
Se Tajaddud Per Dalalat Kar Rha Hy
(YE Bat Ek Alim Ko Ba Aasani Samjh Me Ajye Gi)
Jis K Tehat Is Ka Matlab Ye Hoa K
Be shak Allah Or Us K Farishtay Aap Pr Hamesha Durood Bhajthe Rehte Hn
Jis Se Ye Faida Hasil Hoa K Jab Allah Or Farishtay Hamesha Durood Bhaijte Hn To phr Bando Ko Aap Par Azan K Sath Durood O Salaam Parhna Q Mana
Ho Ga Jab K Durood-O-Salam Ko Azan Ka Hissa B Nahi Banaya Jata.??
'
Ye Batain Samjhane Ka Maqsad Zehan Ko Har Uljhan Se Paak Karna Hy
[PASWJ]

ISS:09> DUROOD QBL AZAN
'
Allah Ka Durood Bhaijne Ka Matlab Hy K
AQAA Ka Zikar Buland Kr K Apko Moazzam Banaya
Or ApKi Shariyat Pr Ta Qayamat Amal Baqi Rakha
Ye To Dunyawi In'amat Ata Kiye Gaye
Ukhrawi In'amat Se Apko Is Tarah Sarfraz Kia Jyega
K Apki Ummat K Haq Me Apki Shfayat-E-Khasa Ko Qubool Kia Jyega
Or Apko Azeem Ajr-O-Sawaab Ata Kia Jyega Or Tamam Awwaleen O Akhreen Pr
Apki Fazeelat Ko Maqaam-E-Mehmood Par Jalwa Gar Kar K Zaahir Farmaya Jae Ga
Or Tamam Muqarrabeen Par Apko Mashhood Me Muqaddam Darja Hasil Hoga
Allah Ka In Azeem In'amat Se Nawazna
Or Hamesha Apko In Ka Mustahiq Tehratay Rehna Jab Sabit Ho Gya
To Jo Aap Par Durood Prhte Hn Wo Apna Hi Nafa Hasil Krte Hn
Or Jo Nhi Parhte Wo Sawaab Se Mehroom Rehte Hn
'
~I.S.S~
PART OF
[PASWJ]

ISS:10>DUROOD QBL AZAN
'
Pichlay 9 Sms Se To Har Aam Insaan B Samjh Skta Hy K Durood Kahan Kahan Parhna Chaiye K Waqt Muqarrar Nhi Magr Phir B Hm Is K Mazeed Dalayil
Denge Ta K Jo Parhte Hain Wo Mukammal Tour Pe Mutmayin Ho Jayen
Us Se Pehle Ham Apko Durood K Fazayil Batyen Gain Ta K Jo Loog Azan Se Pehle Or Deegar Maqamat Pe Durood Parhne Ko Na-Jaiz O Gunah Kehte Hn
Wo Toba Kr Lain
Yeh Mamla Bohat Aham Hai Is Liye Har Baat Ko Clear Kia Ja Rha Hai Ta K Shak Ki Koi Gunjayish Hi Na Rahe
So Stay With Us
'
0302-2565741
~I.S.S~
PART OF
[PASWJ]

ISS:11> DUROOD QBL AZAN
'
Durood K Fazayil:01
Hazrat Abu Huraira Se Marvi Hadees
Jis Admi Ne Mujh Pr Ek Martaba Durood Parha Allah Us Per 10 Rehmatain Nazil Farmae Ga
Muslim, Miskat
Khayal Rahe K Yeh Had Kam Az Kam Hy
Mulla Ali Qari Frmate Hn K Sawab Ki Ziyadti Ki Miqdar Kam Az Kam Biyan Ki Gayi Hy. Jitna Khuloos Ziada Hota Hy Sawaab Barhta Chala Jata Hy, Jitna
Rab Ta'ala Chahe Ata Frmaye
'
0302-2565741
~I.S.S~
PART OF
[PASWJ]

ISS:12> DUROOD QBL AZAN
'
Durood K Fazayil:02
Hazrat Anus Se Marvi Hadees (Mfhm)
Jis Shaks Ne Mujh Pr Ek Martaba Durod Parha Allah Us Per 10 Rehmatain Nazil Farmata Hy Or 10 Gunah Us K Mita Diye Jate Hn Or Us K 10 Darajat
Buland Kr Diye Jatay Hn
Nisayi, Miskat
Mulla Ali Qari Is K Mutaliq Irshad Frmate Hn
Is Hadees Ki Sanad Hasan Hy Or Ye Mutaddid Tarq Se Byan Ki Gayi Hy, Baz Se Sahee Or Baz Se Hasan
'
0302-2565741
~I.S.S~
PART OF
[PASWJ]

ISS:13> DUROOD QBL AZAN
'
Durood K Fazayil:03
Hazrat Ibn-E-Mas'ood Se Riwayat
Qayamat K Din Tamama Logon Se Ziada Meray Qareeb Mujh Par Sab Se Ziada Durood Parhne Wala
Hoga
Tirmizi, Mishkat
Mulla Ali Qari Mishkaat Me Iski Wazahat Youn Krte Hn(Mfhm)
Jo Shaks Aap Pr Ziada Durood Parhta Hy Wo Apki Azamat Ko Janta Hy Or Apki Tabedari Karta Hy Or
Apki Tabedari Krne Wale Ko Apki Or Allah Ki Mohabbat-E-Kamila Hasil Hogi.
Jisay Apse Mohabbat Nahi Wo Apki Tazeem Se Qasir(Door) Hy Or Apki Azamat Ko Samjh Nahi Skta
Wo Yaqeenan Durood Parhne Se Door Hoga Or Doosron Ko B Mana Kare Ga.
'
~I.S.S~
PART OF
[PASWJ]

ISS:14>DUROOD QBL AZAN
'
Durood K Fazayil:04
Hazrat Abu Huraira Se Riwayat
Us Shaks Ki Naak Khaak Alood Ho Jaye Jis K Paas Mera Zikar Kia Jaye Or Wo Mujh Par Durood Na
Bhaijay
Tirmizi, Mishkat
Is Hadees Se Durood Paak Ki Azamat Or Na Parhne Ki Waja Se Zillat Ka Hasil Hona Saaf Wazeh Hy
'
[PASWJ]

ISS:15> DUROOD QBL AZAN
'
Waqt Muqarrar Nahi-1/3
Is Hadees K 3 Part Ko Gour Se Parhiye
Tirmizi, Mishkat (Mfhm)
Hazrat Abi Bin Ka'ab Se Marwi Hy
Mene Arz Ki Ya Rasool Allah
Aap Pr Ziada Durood Bhaijna Chata Hun Kitna Waqt Ap Pr Durood Parhne Me Sarf Karoun?
Aap Ne Farmaya
Jitna Chaahte Ho, Agr Is Se B Ziada Kardo To Tmhare Lye Behtar Hy
Mene Kahan Nisf Waqt Muqarrar Kr Loun
Aap Ne Farmaya Jitna Chaahte Ho, Agr Is Se B Ziada Karlo To Tmhare Liye Behtar Hy
Mene Kaha 2/3 Khaas Kr Doun
Aap Ne Farmaya Jitna Chaahte Ho, Agr Is Se B Ziada Karlo To Tmhare Liye Bhtar Hy
Mene Kaha (Dua Zikr Wagera Ka) Sara Waqt Aap Pr Durood Bhejne K Lye Mukhtas(Muqarrar) Karloun
Ap Ne Frmaya Ye Tmharay Aham Kamoun K Liye Kaafi Hy Or Tumharay Gunahoun Ko Mitaye Ga
cOnt
'
PASWJ

ISS:16> DUROOD QBL AZAN
'
Waqt Muqarrar Nahi-2/3
Nabi Kareem Sahabi K Har Martaba Pochne Pr Inhain Ikhtiyar Dete Rhe Or Ziadti Ko Behtr Qarar Dete
Rahe Yahan Tak K Jb Sahabi Ne Arz Ki Kya Main Apni Zaat K Liye Duayoun K Tamam Auqaat Aap
Per Durood Bhaijne Me Sarf Kardoun To Aap Ne Frmaya
Tmhara Aisa Karna Tmhain Deen O Dunya Me Paish Anay Walay Aham Umoor Me Kafi Hoga
Kyun K Durood Paak Allah Ta'ala K Zikr Or Rasool Ki Tazeem Par Mushtamil Hy
Or Isme Musalman K Zimmay Durood Pak Parhne Ka Jo Haq Hy Isay Wo Ada Karte Hoye Apne
Maqasid Ko Rab K Huzoor Paish Kar Rha Hy Wo Azeem Martabay Wali Dua Hogi Or Is Andaaz Ki
Dua Is K Achay Amaal Me Se Ek Amal Hy
Az Mulla Ali Qari Makhooz Mirqaat J2 P344
cOnT
'
I.S.S
PART OF
[PASWJ]

www.fb.com/ikhtilafkyunLibrary

ISS:17> DUROOD QBL AZAN
'
Waqt Muqarrar Nahi-3`/3
Hadees Se Wazeh Hoa K Durood Prhne Ka Koi Waqt Muqarrar Nhi
Ziada Se Ziada Waqt Durood Prhen Me Sarf Karay Kyn K Durood Prhna Deen-O-Dunya Ki Mushkilaat
Ka Hal Hy
Yahan Ek Ajeeb Sawaal Khatam Hogya
Wo Ye K Jo Loog Kehte Hn K Musalman Allah K Zikr(Azan) Se Pehle Nabi Ka Zikr Shuro Krdete Hn
To Unko Jawab Mil Gaya K Durood B Allah Ka Hi Zikar Hy Or Iska Waqt B Muqarrat Nhi
Kash K Loog Mulla Ali Qari Ki Is Ebarat Ko Parh Lete (See ISS:16)
Jb Aqaa Ne Waqt Muqarrar Nhi Kia To Dosro Ko Kya Haq Hy
K Wo Keh Den K Is Waqt Durood Parhna Mana Hy
Kaash K Durood Na Parhne Pe Or Durood ko Allah Ka Zikar Sabit Naa Krne Pe Koi Daleel Hi Paish
Kardi Jati
Jo Kabi B Paish Nhi Ki Ja Skti
Allah Inhain Hidyat De
nExT
'
PASWJ

ISS:18> DUROOD QBL AZAN
'
Durood Na Parhne Wala Bakheel
Hazrat Ali Se Marwi hy
"Wo Shaks Bakheel Hy Jis K Pas Mera Zikar Kia Jaye Or Us Ne Mujh Par Durood Na Parha"
[Tirmizi, Mishkat]
Is Hadees Se Itna Sabit Ho Gaya K Jis K Samnay Nabi Pak Ka Zikar Kia Jaye Or Wo Aap Pr Durood Na
Parhay To Wo Bohat Bara Bakheel Hy, Kya Koi Aisi Hadees B Nikaal Kar De Sakta Hy Jisme Ye Zikar
Ho K Azaan K Sath Durood Paak Parhne Wala Gunah Gaar Hy, Bht Bara Mujrim Hy(Allah Ki Panah)
Hadees To Door Ki Baat Qayamat Tak Kisi Muatabar Fakih Ka Qoul B Koi Nahi Paish Kar Sakay Ga
Mirkaat
'
nExT
~I.S.S~
PART OF
[PASWJ]

ISS:19>DUROOD QBL AZAN
'
Durood K Bagair Dua Latki Rehti Hy
Hazrat Umer Frmate Hn

"Be-Shak Dua Zameen O Asmna K Darmiyan Mokoof Rehti Hy Is Ka Kch Hisa B (Maqboliyat K
Maqam Ki Taraf) Nhi Charhta Yahan Tak K Tum Apne Nabi Per Durood Parho"
[Tirmizi, Mishkaat]
Allama Tayyibi Frmate Hn K Is Hadees Ki Sharah Se Behtar Ye Hy
K Ye Kaha Jaye K Nabi Mushtaq Hy Nabwa Se
Jiska Ma'ani Hy Riffat-O-Bulandi
Yani Dua Rab Ta'ala K Huzoor Maqaam Maqboliyat Ki Bulandio Tk Us Waqt Tk Nhi Ja Skti
Jb Tk Isko Buland Krne Wale Zaat Is K Sath Na Ho
Yani Nabi Karim Par Durood Bhaijna Waseela Hy Dua Ki Qaboliyat Ka
cOnT
PASWJ

ISS:20> DUROOD QBL AZAN
'
cOnT
Is Hadees Se Ye Samjh Aya K Durood Dua Ki Qaboliyat Ka Zariya Hy
Bagair Durood K Dua Latki Rehti Hy, Maqaam Maqboliyat Ki Bulandio Pr Nhai Pohanch Pati.
Kya Koi Hadees Ya Kisi Fakih Ka Aisa Qoul Paish Kia Ja Sakta Hy K Jis Me Ye Sabit Ho Jaye K
Durood Shareef Parhne Se Azan Be Barakat Ho Jati Ya Shariyat Me Na-Maqool Ho Jati Hy (Allah Ki
Panah)
Yahan Tak Chand Ahadees Ka Zikr Kia Jinse Ye Sabit Ho Chukka K Durood Parhna Bais-e-Sawaab Or
Na Parhna Rab Ki Rehmat Se Door Hona Hy Or Durood Jab Chahay Parhay Koi Waqt Muqarrar Nhi
Yahan Inhi Ahadees Per Iktifa Kia Jata Hy Warna Ahadees To Bht Hn Per DUROOD QBL AZAN K
Mas'alay Ko Samjhne K Liye Itni Miqdaar Hi Kafi Hy.
'
~I.S.S~
PART OF
[PASWJ]
Ghulam Hussain Qadri

ISS:21>DUROOD QBL AZAN
'
DALEEL
Jab B Mumkin Ho Durood Parhna Mustahab Hy Jab K Wahan Koi Maaney Na Paya Jaye Yani Koi Aisi
Daleel Na Payi Jaye Jiski Waja Se Kaha Ja Sakay K Yahan Durood Parhna Mana Hy
[Durr-E-Mukhtar, Shami]
Maqaam Tawajja
Is Ebarat Se Roz-E-Roshan Ki Tarah Wazeh Ho Gaya K Durood Parhna Jab B Mumkin Ho Isi Waqt
Mustahab Hy, Mana Hone K Liye Daleel Ki Zarorat Hogi
Uper Wali Ebarat Jo K Mautabar Kitaab Se Paish Ki Gayi Jis Se Koi B Aankhain Nahi Chura Sakta Isko
Parhne K Bad Khud Faisla Kijiye K Kis Per Laazim Hy K Wo Daleel Paish Kare
Parhne Walay Per Ya Roknay Walay Per Par..??
PASWJ

ISS:22>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD OR MAQAMAAT
Durood-o-Salaam Parne Or Naa Parhne K Aitbar Se 2 Maqamaat ka Zikar Aham Hy
A)Durood Parhne K Khaas Maqamaat

B)Durood Naa Parhne K Maqamaat
Agarcha Jab B Ho Sake Durood-o-Salaam Kaseer Tour Pe Parhna Mustahab Hy Lekin Chand Maqmaat
Wo B Hain Jin Me Khasosiyat Payi Jati Hy Or Chand Wo Hain Jahan Durood-o-Salaam Parhna Mana hy
Pehle Apko Durood-o-Salaam Parhne K Khaas Maqamat Batayen Jayen Gain
cOnt
'
[PASWJ]

ISS:23>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM PARHNE K KHAAS MAQAMAT
01.Jumua K Din
02.Jumua Ki Raat
03.Haftay K Din
04.Itwar K Din
05.Jum'arat K Din
06.Subah K Waqt
07.Shaam K Waqt
08.Masjid Me Daakhil Hote Waqt
09.Masjid Se Nikalte Waqt
10.Nabi Kareem K Mazaar Pur Anwaar Ki Ziarat Kartay Waqt
11.Safaa Par
12.Marwa Par
13.Jumua K Khutbay Me Khateeb Ka Doraan-E-Khutba Durood Parhna (Sirf Khateeb' Muqtadi Khutba
Khamooshi Se Sunay Ga)
14.Tamaam Khutboun Me Jumua K Elawa B
15.Moazzin Ki Azan Sun Kar Jawaab Dete Waqt
16.Iqamat Sun Kar
17.Dua Shuroo Karte Waqt, Darmiyaan Me Or Aakhir Me
18.Wudu K Waqt
cOnT
PASWJ

ISS:24>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM PARHNE K KHAAS MAQAMAT
cOnT
'
20.Hajj Me Talbeeh Pahne K Baad
21.Jimaa Se Pehle
22.Iftiraaq (Ek Dosray Se Bichartay waqt Jese Mulaqaat K Baad)
23.Nikaah Karne Se Pehle
24.Dua-E-Qunoot Khatam Karne K Baad
25.Koi Cheez Bhool Jane Ki Soorat Me
26.Wa'az (Bayaan) Karte Waqt
27.Dosroun Tak Ilm Pohanchatay Waqt
28.Hadees Shareef Parhne Ki Ibtida Or Intiha Me
29.Sawaal Likhte Waqt
30.Fatwa Likhte Waqt
31.Har Tasneef K Waqt
32.Parhte Or Parhatay Waqt
33.Khitaab Karne Se Pehle

34.Khatoot Me
35.Tamam Aham Kamoun Se Pehle
36.Or Khaaas Kar Nabi Kareem Ka Naam-E-Aqdas Suntay Waqt Chahay Ek Hi Mehfil Me Baar Baar
Lia Jaye (Baaz K Nazdeeq Mehfil Me Baar Baar Naam-e-Aqdas Sun Kar Durood-o-Salaam Parhna
Wajib Hay)
'
[PASWJ]

ISS:25>DUROOD QBL AZAN
'
Jo Maqamat Paish Kiye Gaye Un Soorto Me Durood-O-Salaam Prhna Ziada Mustahab Hy Jab Tk Koi
Maaney Sharayi (Mumaniyat) Na Payi Jaye
[Shaami J1 P383]
Ye To Wo Maqamat Thay Jahan Durood-o-Salaam Parhna Ziada Acha Or Mustahab (Sawaab) Samjha
Jata Hy Per Koi Naa Parhay To Koi Gunah Nhi Jab K Naam-E-Aqdas Sun Kar Kam Az Kam Ek Bar
Durood-O-Salaam Parh Lia Ho K Aqaa Ka Naam Sun Kar Durood-O-Salaam Parhna Wajib Hy Or
Zindagi Me Ek Bar Parhna Farz Hy
Ab Wo Maqamat Paish Kiye Jayen Gain Jahan Durood Nhi Parha Jaye Ga
Yaad Rahe Durood-O-Salaam Ka Parhna Bais-E-Sawaab Or Allah Ki Rehmat K Haqdaar Bannay Ka Ek
Behtreen Zariya Hy Ab Jo Allah Ki Rehmat Or Sawaab Ki B Daleel Mangay To Us Se Bara Bad Naseeb
Koi Nahi
'
[PASWJ]

ISS:26>DUROOD QBL AZAN
'
B)DUROOD NA PARHNE K MAQAMAAT
01.Tajir Ka Kapra Kholtay Waqt Is Niyat Se Allah-o-Rasool Ka Zikar Krna K Kharidar Ko Pata Chal
Jaye K Ye Umda Hy To Ye Makrooh Tehreemi Hy
Agr Barakat K Iraday Se Parhay To Jaiz Bal-K Mustahab Hy
Jo Shaks Kapray Per Muhafiz Muqarrar Ho Uska B Isi Iraday Se Durood Parhna Makrooh Hy Kyn K
Bechne Walay Or Muhafiz K Durood Parhne Me Maqsad Barakat Nahi Bul-K Aala Qism Ki Qeemat
Wasool Karni Hy
'
PASWJ

ISS:27>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM NA PARHNE K MAQAMAAT
cOnT
'
02.Sharaab Baichne Walay Ka Sharab Kholtay Waqt Is Iraday Se Duroos-o-Salaam Parhna K Loog Isko
Rayij Krlain Or Acha Samjhain To Wo Shaks Gunahgaar Hoga
Sharab Mehaz Ek Misaal Hy Warna Har Haraam Cheez Ka Yehi Hukum Hy
Kisi Haraam Cheez Me Barakat Ki Garz Se Durood-o-Salaam Parhna B Na-Jaiz Hy Kyun K Haraam
Cheez Barakat Wali Nhi Ho Sakti

'
~I.S.S~
PART OF
[PASWJ]
Ghulam Husain Qdri

ISS:28>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM NA PARHNE K MAQAMAAT
cOnT
'
03.Jab Ek Shaks Azeem Logo Me Se Ho To Us K Anay Per Tasbeehat Ya Durood-o-Salaam Is Liye
Parhna K Loog Is K Liye Jaga Khushada Kar Dain Ya Kharay Ho Jayen To Aisa Karna Gunah Hy
04.Mujamiyat K Waqt Yani Apni Zouja Se Ham Bistry K Waqt Durood-o-Salaam Parhna
05.Hajaat-e-Insaania Yani Paishaab Pakhana Istanja Ghusul Karne K Doraan Durood-o-Salam Parhna
Be-Hurmati Hy
06.Har Qism Ki Lagzish Yani Gair Sharayee Kaam K Irtikaab Me Durood Parhna Makrooh Hy Kyun K
Durood Ajr-o-Sawaab K Liye Hy Na K Gunahoun K Liye
'
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ]

ISS:29>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM NA PARHNE K MAQAMAAT
cOnT
'
07.Ta'ajub K Waqt, Janwar Ko Zibah Krte Waqt, Cheenkh K Waqt Baaz Fuqahaa Ne Durood Parhna
Makrooh Kaha Hy K

Lekin Baaz Hazraat Ne Uper Bayan Kiye Alfaaz K Saath Durood Parhna Bagair Kisi Karahiyat K Jaiz
Qaraar Dia Hy
PASWJ

ISS:30>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM NA PARHNE K MAQAMAAT
cOnT
'
08.Mabe'e (Jis Cheez Ko Becha Jaa Raha Ho) Ko Mashoor Karne K Liye Durood-o-Salaam Parhna
Makroo Hy Kyun K Iska Maqsad Nabi Kareem Ki Tazeem Nahi Bal K Apne Maal Ki Sohrat, Maal Ko
Ziada Baichna Or Is K Badlay Maal Hasil Karna Hy.

Ye Maqasid Deeni Nahi, Durood-o-Salaam Ka Haqeeqi Maqsad Inme Nahi Paya Jata
'
09.Namazi Ne Doran Namaz Imam Se Muhammad Rasool Allah Yaa Qira'at Yani Quran Paak Ki
Tilawat K Waqt Lafz Muhammad Suna To Is Per Durood-o-Salaam Parhna Laazim Nahi Bal K Wo
Qira'at Sunay Is Per Qira'at Ka Sunna Farz Hy.
Isi Tarah Jumua K Khutba K Doraan B Durood-o-Salaam Na Parhay Bal K Khutba Sunay Kyn K Khutba
Ka Sunna Farz Hy
'
Part Of
[PASWJ]
Www.Fb.Com/Ikhtilafkyunlibrary

ISS:31>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM NA PARHNE K MAQAMAAT
cOnT
'
10.Jab Khateeb Duran-E-Khutba Durod-o-Salam Parhne Wali Ayat Parhay To Sunnay Wala Ahista
Durod-o-Salam Parh Le Ta K Dono Fazilatain Hasil Krle Yani Durod Parh B Le Or Khud K Or Dosray
K Khutba Sunnay Me Koi Khalal Waqe B Na Ho
Allama Qahastani K Mutabiq Or Shara Hasami Me B Yehi Mazkoor Hy Or Fathul Qadeer Me Imam Abu
Yousuf Ka Qoul Naqal Hy K Is Tarah Ahista Parhay K Khutba Sunnay Me Koi Farq Na Pare To Durod-
o-Salam Zaroor Prhay Kyn K Is Se Dono Fazeelatain Hasil Ho Jayn Gn
Khutaba Suna Jye Ga Or Salat-o-Salam B Parh Lia Jyega
PASWJ

ISS:32>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM NA PARHNE K MAQAMAAT
cOnT
'
11.Namaz Me Akhri Qa'ada(attaheeyat) K Elawa Kisi Or Jaga Durood-o-Salam Prhna Makrooh Hy,
Albatta Duya-e-Qunoot K Bad Durod-o-Salam Parhna Mustahab (sawab) Hy Isi Tarah Namaz -e-Janaza
Ki Dosri Takbeer K Bad Durood Prhna Sunnat Hy
Shami J1 P383
Alamgiri Me Hy K Tilawat K Dooran Aqaa Ka Naam Suna To Ab Durood-o-Salam Wajib Nhi,Tilawat K
Bad Durod-o-Salam Parh Le To Sawab Hoga
PASWJ

ISS:33>DUROOD QBL AZAN
'
DUROOD-o-SALAAM NA PARHNE K MAQAMAAT
LaSt
'
12. 3 Ya 4 Rak'atoun Wali Farz, 4 Rak'atoun Wali Sunnat Moakada Or 3 Rak'at Witar Namaz K Pehle
Qa'ada Me Tash'hud(Attahieyat) K Bad Durood Parhna Makrooh Tehrimi Hy
Lekin 4 Rak'at Waili Nawafil Or Gair Moka'ada Me Pehle Qa'ada Me Attaheeyat K Bad Durood Parhna
Behtar Hy
Raddul Mukhtar, Shaami,

Moakada:Zohar 4 Sunnat Or Baqi Tamam 2 Sunnat
Gair-Moakada:Asar Or Esha Ki 4 Sunnat
'
PASWJ

ISS:34>DUROOD QBL AZAN
'
HASIL KALAAM
Yahan Tak Ki Gayi Batoun Se Wazeh Hoa K Durood-o-Salam Ka Parhna Mustahab Hy, Parhay Ga To
Sawab Or Na Parhay Ga To Gunah Nhi
Haan Jahan Fuqaha-e-Kiraam Ne Durood-o-Salaam Prhne Se Mana Kia Hy Hmne Un Sab Ki Nishaan
Dahi SHAAMI Se Ki Jin Me Azaan-o-Aqamat Ka Kahin Zikar Nhi K Yahan Na Parho
Aitraaz Karne Walo Ko Hamara 2nd Chellange Hy K Hamari Tarah Wo Apne Daway Ki Daleel Dikha
Dain k Azaan Se Pehle Durood Mana Hy
Or 1st Chellange Ye Tha K Durrod Wali Quraan Ki Ayat Me Waqt Sabit Kr Dn
Yaad Rahe K Series Me Abhi Bht Kch Baaqi Hy Ye To Shuruwat Hy
So Stay With Us

ISS:35>DUROOD QBL AZAN
'
EK NAZAR
Yahan Tak Hmne Ye To Sabit Karida K Durood-o-Salaam Parhna Asal Me Allah Ka Hi Zikar Karna Hy
Or Iska Waqt B Khaas Nhi Siwaye Jinka Manaa Hy. Ab Aitrazat Krne Walo Ko Ek Baat To Sabit Kardi
Gayi K Iska Parhna Sawaab Hy Ab Ye Sawaal Paish Kia Jata Hy K
'Kaam Naik Hy Per Ye Naya Kaam Hy Or Naya Kaam Jesa B Ho Hamesha Galat Hota Hy'
To Hm Iska B Jawaab Denge Ta K Na Durood-o-Salaam Pe Ungli Uthay Or Na Hi Isko Azaan K Sath
Prhne Per
Chellange Yad Rkhiye Ga:
1) Ayat Me Waqt
2) Na Parhne Ki YA Azan-o-Aqamat K Waqt Parhne Se Gunah Milne Ki Daleel
'
~I.S.S~
Part Of
[PASWJ]

ISS:36>DUROOD QBL AZAN
'
HISTORY
Azan K Bad Salat-o-Salam 781 Hijri Me Rabi-us-Sani K Mahinay Me Siwaye Magrib K Sab Azano Me
Shuro Hoa, Phir Magrib Me B 2 Martaba Parhna Shuro Hoa
Ye Bid'at-e-Hasana Kehlati Hy Yani Naya Kaam Shuroo Hoa Lekin Acha Or Naiki Ka Kaam Hy
[Durr-e-Mukhtar, Shaami J1]
Ye Ebarat Jin Kitab Se Li Gayi Hn Un Kitaabo Ko Har Bad Mazhab B Maanta Hy
Lafz Bid'at-e-Hasana Ko Yad Rakhiye Ga Ta K Bad Me Jab Apko Is K baray me bataya Jaye To Apko
Asaani Ho.
Ham Ne Ye Baat To Sabit Krdi K Durood B Allah Ka Zikar Or Sawab Ka Kaam Hy Ab Ye Naya Kam
Krna Gunah Ya Sawaab' Ab Ham Ye Bateyn G

ISS:37>DUROOD QBL AZAN
'
Allama Sakhawi Ki Tasneef Al Qoulul Badee Se Manqool Hy K Durood-o-Salaam Ki Ibtida 791 Hijri
Me Sultan Salah Uddin Ayubi K Hukum Se Hoi.
Pehle 781 Ka Zikar Ho Chuka Hy, Maqsad Ek Hi Hy K Pehle Peer Or Jumua Ki Azaano Me Ibtida Hoi
Or 10 Saal Baad 791 Me Tamam Azano Me Durood-o-Salaam Parhna Shuroo Kar Lia Gaya,
nExT
Azan K Sath Durood Kyun Shuro Ki Gaya, Aitrazat, Bid'at Hasana, Badmazhab K Ghar Ki Gawahi Or
Bht Kuch
PASWJ

ISS:38>DUROOD QBL AZAN
'
REASON 1/3
Allama Abdul Wahab Suhrani Frmate Hn
Hamaray Sheikh Ne Bataya K Misr Me Raafzio K Dour-e-Hukumat Me Us Waqt K Khalifa Or Us K
Wuzara Per Salaam Parhne Ki Buri Bid'at Shuroo Ho Gayi Thi. Jab Adil Baadsha Sultan Salah Uddin
Ayoobi Ne Hukumat Samhali To Inho Ne Is Buri Bid'at Ko Khatam Karwaya Or Moazzineen Ko Hukum
Dia K Nabi Kareem Per Salat-O-Salaam Parha Karo Or Ye Hukum Tamam Deehatoun Me Nafiz Kardia.
Allah Inhain Behtar Jaza Ata Frmaye
[Kashful Gumma J1 P78 Misr]
Is Ebarat Me 2 Cheezoun Pr Khasosi Tawajja Frmayen
cOnT
Hamaray 2 Chellange Yaad Rakhiye Ga
PASWJ

ISS:39>DUROOD QBL AZAN
'
REASON 2/3
Ek Cheez Ye K Badsha Or Us K Wuzara Pe Salaam Parhne Ki Buri Bid'at Ko Khatam Kia Gaya Jis Se
Pata Chala K Buri Bidat Ko Mitanay Ki Garz Se Acha Kaam Shuroo Hoa K Rasool Allah Per Durood-
O-Salaam Shuroo Parha Janay Laga. Doosri Cheez Ye Hai K Allam Shurani Ne Akhir Me Bhtar Jaza Ki
Dua Tehreer Kar K Ye Sabit Kar Dia K Aqaa Pe Azaan K Waqt Durood O Salam Parhna Acha Fail Hy
Or Ejaad Karne Wala Jaza Ka Mustahiq Hy
PASWJ

ISS:40>DUROOD QBL AZAN
'

REASON 3/3
Azan K Sath Durood-o-Salam Jaari Hoye 7veen Sadi Jari Hy
Ahl-e-Ilm Ne Iski Tareef Ki Or Isko Acha Fail Qarar Dia Or Ejaad Karne Waloun K Lye Jaza-e-Khair Ki
Dua Ki Hai
Jab Azeem Fuqaha-e-Kiram K Ye Nazariyat Hn To Aam Logo K Aqwaal Ko Kya Hasiyat Hasil Hy
Koi bay-Aqal Na Manay To Na Manay kisi kam-Aqal K Aqwaal Kya Un Hastioun Ka Muqabla Kar
Saktay Hn??? Jin Me Allama Shami, Allama Sakhawi Or Allama Shurani hn
Jinko Dunya-e-Islam ka Har Tabqa-e-Fikar Or Bad-Mazhab B Izzat-o-Ahtraam Se Daikhta Or Un K
Aqwaal Ko Dil Se Maanta Hy???
'
PASWJ
www.fb.com/ikhtilafkyunlibrary

ISS:41>DUROOD QBL AZAN
'
Kisi Kaam Ko Na Krne Ki Kam-Az-Kam Soorat Makroh Tanzihi Hy Yani Jis Kaam Ka Na Karna Behtar
Hota Hy
Lekin Is Kaam K Karne Pr Koi Gunah Lazim Nahi Ata Mgr Is Darjay K Makrooh Ko Sabit Karne K
Liye B Daleel Ki Zarorat Hy Sirf Zaban Se Ye Keh Dena K Ye Makroh Hy 'KAFI NAHI' To Durood
Qabl Azan Ko Gunah Sabit Karne K Liye To Boht Moutabar Daleel Paish Karni Hogi Jo Qur'an O
Hadees Se Sabit Ho Par Kabhi B Paish Nahi Ki Ja Sakti Moatabar To Door Ki Baat Kabhi Kisi Buzurg
Ka Qoul B Paish Nahi Kar Saktay
Abhi Tak To Apko Ham Ne Daleel Se Sabit Kia Hai K Durood Parhna Jaiz Bal K Bais-e-Sawaab Hy Or
Kahin Iski Nafi Nhi Ayi
Bad-Mazhab Allah-o-Rasool Ki Baat To Mantay Nahi Kya Pata Apne Molvio Ki Maan Lain Jo Agay
Aye Gi
Stay With Us
PASWJ

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...