Source(Google.com.pk)
Durood Ka Ithtisar Islamic SMS
Durood Ka Ikhtisaar
@01
Aisey SmS Fwd Na Karen
Jis Me Huzoor Alaihissalatu Wassalaam
Ke Lye "S.A.W" Likha Ho
Ke Ye Na Jaiz O Gunaah e Kabeerah Hey
Bahar-e-Shariyat Jild #01 Me
Fatawa Razawiya 3/81 Ke Hawaley Sey
Sadrush Shariyah Ne
Durood Ke Ikhtisaar Ke Likhney Ko
Na Jaiz O Haraam Qaraar Dya Hey
Durood Ka Ikhtisaar
@02
Bahar-e-Shariyat V#2 P#5
Haram-e-Qatayi Bulke Makrooh e Tehreemi
Ko Kuch Baar Karney Ko Bhi
Kabeera Gunaah Qarar Dya Hey
Tafseer Roohul Bayan Me
Sura e Baqarah Ki Aayat #10 Ke Tehat
Huzoor Ki Shaan Me Zoo Ma'ni
Alfaaz Ko Mamnoo' o Haraam Likha Hey
Durood Ka Ikhtisaar
@03
English Me "SAW"
Churi, Chaqoo, Aari Wagera Ko Kaha Jaata Hey.
Chunke Isey Likney Se Gustakhi Ka Shaaiba
Bhi Hey Islye Is Tarah Ke Amal Sey
Har Soorat Bachna Chahye.
Imam Nawavi Ne Bhi
Sahi Muslim Ki Sharah Me Isey
Mamnoo' Qaraar Dya
For Detail:
(Muslim 1/278 , 279)
Durood Ka Ikhtisaar
@04
Allama Hasan Bin Mansoor Aoz Jandi
Ne Fatawa Tataar Khaniya Me
Durood Paak Ikhtisar Sey
Likhne Wale Par KUFR Ka Fatwa Dya (Hashiya Tahtawi Ala Durr e Mukhtar 1/6)
Allama Jalaludin Suyooti Farmtey Hen Ke
Pehla Insan Jis Ne Durood Paak Ka Ikhtisar Ijaad Kya Uska Haath Kaat Dya Gya
Durood Ka Ikhtisaar
@05
Aap Imtehan Dene Gaye
AapKo Ek Sawaal K Jawab Me Ye Likhna Parey
"Main Karachi Mein Rehta Hoon"
Or Aap Ye Likh Den
(M.K.M.R.H)
Kya Teacher (Ustaad)
Isey Qubool Kar Ke AapKo Pass Karde Ga?
Ab Jo
"SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM"
K Bajaaye
(S.A.W
Ya
S.A.W.W)
Likhte Hen
Kya Wo Mutma'in Hen Ke UnKa
DUROOD PAK Qubool Ho Jaaye Ga?
Zara Sochiye Kis Par Parha Jaaney Wala DUROOD Short Kar Rahe Hen?
Jin Par Khud ALLAH Durood Bhejta Hey.
Durood Ka Ikhtisaar
@06
Suwal:
Kia "Sal Lal Lahu Alaihi Wasallam" Ka English Tarjuma "Peace Be Upon Him" Theek Hey?
Jawab:
Jee Nahi, Ye Tarjuma Kuchh Theek Nahi. Albatta Sahi Tarjuma
"Peace And Blessings Of Allah Be Upon Him" Hey.
Lihaza Durood Ka Sahi Tarjuma Logon Men Aam Kiya Jaaye
No comments:
Post a Comment